HTML क्या होता है ? Yah Kaha Kaam Ata Hai? | What is HTML in Hindi

What is HTML?
What Is HTML?
HTML ka pura name hai 'Hyper text markup language'. Yah ek markup language hai jo website banane ke kaam aati hai, website banane se pahle iska web designig ka course karna hota hai jisme me yah sabse pahle sikhni hoti hai.


Yah Kaha Kaam Aati hai?

Jab bhi aap koi bhi website ko open karte hai jaise Facebook, amazon, twitter wo sab wbesite HTML me hi banti hai, duniya ki har website HTML me hi banti hai. HTML ko web designing ki basic language bhi kahte hai. Isko markup language isliye kahte hai kyonki yah puri language less than & grater than sign (< and >) me hote hai.

Kab aur Kisne Banai?

HTML ko Tim Berners-Lee ne 1993 ko develop (Viksit) ki thi.

HTML kaise kaam karti hai?

Koi bhi website web page se bani hoti hai, website ki definition bhi hai web pages ka group.
Aur is tarah har website ke webpages HTML language me design hote hai jisme codes hote hai wo code sikhne hote hai jaise.

HTML se kewal ek web page design kiya jata hai ek structure design kiya hai par us par color, size, padding, margin jaise kai attractive look CSS (Cascading Style Sheet) language se diya jata hai, CSS almost HTML kes sath ya HTML ke baad me sikhi jaati hai.

HTML Ka editor kya hai? Iske Code Kisme Likhne Hote Hai?

Editor ka means hota hai usse kisi tool me edit karna, jaise photo ka editor Photoshop, text ka editor MS word, sheetdata ka editor excel etc.
Thik isi tarah HTML ka editor Notepad hota hai, Notepad ek text editor hi hai.
HTML ke code notepad me hi likhe jate hai jo har window me pahle se available hota hai.
Iske alawa HTML ka advance editor Notepad++ bhi hai. 

HTML versions

  1. HTML 2.0 (24 Nov, 1995)
  2. HTML 3.2 (14 Jan, 1997)
  3. HTML 4.0 (18 Dec, 1997)
  4. HTML 4.0 (24 Apr, 1998)
  5. HTML 4.01 (24 Dec, 1999)
  6. IOS HTML based on HTML 4.01 (May 2000)
  7. HTML 5 (28 Oct, 2014)

HTML ko kaise Sikhe?

HTML ko sikhna kafi aasan hai, ise aap dhyan laga kar sikhe to kewal 1 mahine me hi aap web pages design karna shuru kar sakte hai.
HTML क्या होता है ? Yah Kaha Kaam Ata Hai? | What is HTML in Hindi HTML क्या होता है ? Yah Kaha Kaam Ata Hai? | What is HTML in Hindi Reviewed by Unknown on 04:42:00 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.