Keyboard ki F1 Se F12 tak ki Keys, janiye kitni useful hai apke liye

Keyboard ki F1 Se F12 tak ki Keys, janiye kitni useful hai apke liye
F1 To F12 : Keyboard Tips For Computer Users
Keyboard ki F1 Se F12 tak ki Keys, janiye kitni useful hai apke liye

Computer keyboard par sabse top par F1 se F12  (Keys) ko Functions Keys kahte hai. Ye vah Keys hain jinse letters type nhi hote. 
Aasl mein inko keyboard ke jariye computer aur uske operating system ko achhi tarah se direction  dene ke liye bnaya gya hai.


'hum apko aaj apne is articler mein apko btange ki in keys ka aap kaise use kar sakte hai'


 Key F1  F1 agar Computer ko on karte he F1 Key ko press karenge to computer ka setup open ho jayega.F1 se computer ki settings ko dekha aur chenge kiya ja sakta hai. Agar aap internet explorer browser mein kaam kar rahe hai to F1 Key press karte hai to browser ka help page open ho jayega. 
 Key F2 F2 Windows mein kishi file, folder par click karne ke baad F2 press karne par us text ko rename kiya jata hai. ya kiya ja sakta hai. Microsoft Word mein ctrl+F2 press karne par  Print View page open, hone par wo dikhata hai ki document print hone ke baad kaisa dikhai dega. 

Key F3 
F3  Windows mein F3 se search box open ho jata hai. F3 ka use  file, folder search karne mein kiya jata hai.Microsoft Word mein Shift+F3 press karne par English ke Text ko lower aur upper case mein replase  ki ja sakta hai. Microsoft DOS ya Command Prompt Window mein F3 press karne par pahle type ki kai command phir se re-type ho jati hai.

Key F4 F4  Windows Explorer ( My computer, computer) mein F4 press karne par address bar open ho jati hai. Internet Explorer mein bhi address bar open ho jati hai. Microsoft Word mein F4 press karne par phir se same work repeat ho jayega jo apne abhi kiya tha. 

For a example agar aapne koi word type kiya ho aur wo delete ho gya ho to aap F4 kar ke usko phir la sakte ho. 
table bnai ho to ek aur table ban jati hai F4 se aur agr apne text ko bold karna hai to wo bhi F4 se ho jata hai. Alt+F4 press karne par open hua software close ho jata hai.

Key F5 F5 yeh key windows ko refresh karne ke liye use ki jati hai.
windows mein agar koi folder copy hone ke baad dikhai nhi de raha hai to F5 ko press karne ke baad phir se dhikai dene lagta hai.
 Internet browser. mein web page ko refresh aur reload karne ke liye bhi use karte hai. 

PowerPoint mein F5 press karne par slide show surur ho jata hai. 
Microsoft Word aur Microsoft Excel, mein Shift+F5 press karne par Find and Replace feature open ho jata hai. 

Photoshop mein ise F5 press karne par kai tarah ke brush samne aa jate hai. inme se aap apni pasand ke brush use kar sakte ho. 

Key F6 
F6  ko press karne per windows mein open folders ka metiriyal dikhai dene lagta hai. Agar Microsoft Word mein kai document open hai, to unko ek-ek karke dekhne ke liye Control+Shift+F6 ka use karte hai.

Key F7 
F7 Microsoft Word mein kuch type karne ke baad agar F7 press karenge to uski  spelling check karni ho to wo automatic hi hamari spelling check hona suru ho jati hai. Internet Explorer mein F7 press karne pae website page katext select kiya jata hai.  


Key F8 
F8 Microsoft Word mein Alt+F8 press karne se macro  create ho jata hai. Isse bar bar kiye jane wale kaamo ko dayrection record kiya ja sakta hai. Microsoft Word mein text ko select karne ke liye F8 ka use kiya jata hai.

Key F9  F9 Microsoft Outlook mein email send ya  receive karne ke liye F9 use karte hai.Quark Express mein F9 press karne se  Measurement toolbar open ho jati hai. Kuch laptops mein F9 press kar ke screen ki brightness ko control kiya jata hai.  

Key F10   F10 Kishi software mein kaam karte huye F10 press karne se menu bar open hojati hai. Shift+F10 sath mouse ke right click ka kaam karta hai. Control+F10 ka use Microsoft Word mein windows ko minimize aur maximize karne ke liye Control+F10 ko use kar sakte hai.

Key F11  
F11 Internet Explorer, Chrome jaise browsers mein full screen karne ke liye F11 ko use karte hai. 

Key F12 
F12 Word mein F 12 press karne se Save As box open ho jata hai.Shift+F12 se Microsoft Word mein document save ho jata hain. Control + Shift + F12  se Microsoft Word. me open hua  document save ho jata hai
Keyboard ki F1 Se F12 tak ki Keys, janiye kitni useful hai apke liye Keyboard ki F1 Se F12 tak ki Keys, janiye kitni useful hai apke liye Reviewed by Unknown on 06:20:00 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.